tamam umr kiya ham ne intizar-e-sahar
sahar hui bhi to aaya na e’tibar-e-sahar
bhaTak raha hai kahan karvan-e-dida-o-dil
na ye dayar-e-shab-e-gham na ye diyar-e-sahar
sambhal sambhal ke chale karvan-e-lala-o-gul
ye rahguzar-e-sahar hai ye rahguzar-e-sahar
kisi ke husn-e-tabassum ki ik karan chhu kar
gulon ko baḳhsh diya ham ne iḳhtiyar-e-sahar
tira ḳhayal na aa.e tira ḳhayal aa.e
yahi ḳhizan hai sahar ki yahi bahar-e-sahar
abhi to phuul khile hain zara mahakne do
abhi se kaise utar ja.ega ḳhumar-e-sahar
shab-e-firaq ka har lamha hai hasin ‘nashtar’
na aankh men koi aansu na intizar-e-sahar
Leave a Reply