andhe badan men ye sahar-asar kaun hai
tu bhi nahin to mujh men sharar-bar kaun hai
vo kaun hai jo jagta hai meri niind men
asrar main huun sahab-e-asrar kaun hai
kis ne vafa ke naam pe dhoka diya mujhe
kis se kahun ki mera gunahgar kaun hai
sab ne gale laga ke gale se juda kiya
pahchan hi nahin ki riya-kar kaun hai
phir yuun hua ki mujh pe hi divar gir paḌi
lekin na khul saka pas-e-divar kaun hai
meri sada men kis ki sada.en hain maujzan
naddi huun main agar to mire paar kaun hai
mahbus sab hain maslahaton ke hisar men
lekin ḳhud apni dhun ka giraftar kaun hai
har aankh men ‘najib’ hain sapne base hue
is jagte dayar men bedar kaun hai
Leave a Reply