
Nooh Narvi
bahr-e-gham men dil ka qarina
lakhon maujen ek safina
TuuTa hai dil shaq hai siina
dekh kar us zalim ka qarina
bhiig ga.i duniya-e-mohabbat
aaya tha kuchh mujh ko pasina
shaḳhen phuTin kaliyan chaTkin
aa pahuncha phagun ka mahina
haal bhi mera aap na puchhen
itni ranjish itna kiina
mar jaana takmil-e-vafa men
hai me.araj ka pahla ziina
meri gardan tera ḳhanjar
teri barchhi mera siina
barq bala ya barq ada ho
donon ka hai ek qarina
kya ho sukun ai bahr-e-mohabbat
sahil se hai duur safina
jalta huun teri mahfil men
jannat men dozaḳh ka qarina
hijr ka aalam yaad hai mujh ko
ik ik din ek ek mahina
maut ki saḳhti main ne samjhi
mathe par nikla jo pasina
sham.a ke dam se bazm munavvar
kahne ko mehman-e-shabina
koi jabir koi sabir
ik mera ik un ka qarina
hil jaao bhi khul khelo bhi
achchha din achchha hai mahina
unhen mere dil se umangen
gharq kiya maujon ne safina
dil ko fughan pahuncha.e falak tak
nichi chhat hai uncha ziina
phir uTha tufan-e-mohabbat
‘nuh’ karen tayyar safina

Leave a Reply