ham ne sīkhā hai mohabbat karnā
ek ik dil pe hukūmat karnā
ham bhī tārīḳh badal sakte haiñ
shart hai himmat-o-jur.at karnā
zeb detā nahīñ insānoñ ko
kisī insāñ kī ibādat karnā
rakh ke ḳhud apnī zarūrat ko udhār
puurī auroñ kī zarūrat karnā
shab kī tārīkī meñ sīkhā ham ne
chāñd tāroñ kī tilāvat karnā
āḳhirī saañs talak jīvan kī
mard kī shaan hai mehnat karnā
farz se haj ke hai afzal ‘hāfiz’
būḌhe māñ-bāp kī ḳhidmat karnā