bhañvar se naav ke palḌe bachāne paḌte haiñ
mujhe ye log kināre lagāne paḌte haiñ
so itnā sahl mohabbat ko le na shahzādī
gudāz poroñ se kāñTe uThāne paḌte haiñ
kabhī jo haal ko chehre se bhāñp letā thā
ab us ko rañj bhī ro kar batāne paḌte haiñ
hamārī shāḳhoñ tak aatī hai jab ḳhizāñ kī shunīd
ham aise peḌoñ ko patte girāne paḌte haiñ
tapish bhī dhuup kī lagne na dī ho jin ko kabhī
vo pyāre miTTī meñ ik din dabāne paḌte haiñ
vo shaḳhs merī ‘hasan’ ek bhī nahīñ suntā
maiñ kyā karūñ mujhe aañsū bahāne paḌte haiñ