ishq huun jur.at-e-iz.har bhi kar sakta huun
ḳhud ko rusva sar-e-bazar bhi kar sakta huun
tu samajhta hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair
main tire pyaar se inkar bhi kar sakta huun
ghair mumkin hi sahi tujh ko bhulana lekin
ye jo dariya hai ise paar bhi kar sakta huun
tu miri amn-pasandi ko ghalat naam na de
vaar sahta hi nahin vaar bhi kar sakta huun
mai-kada kar-e-digar aur janab-e-va.iz
aisi neki main gunahgar bhi kar sakta huun
davara main tiri duniya men to ḳhamosh raha
par sar-e-hashr main takrar bhi kar sakta huun
Leave a Reply