ho din ki chahe raat koi mas.ala nahin
mere liye hayat koi mas.ala nahin
uljha hua huun kab se savalon ke dasht men
kaise kahun main zaat koi mas.ala nahin
chalna hai saath saath ki rahen badal len ham
tu soch mere saath koi mas.ala nahin
jo ho mufid aap vahi faisla karen
manen na meri baat koi mas.ala nahin
sahra ki tez dhuup mujhe aa gai hai raas
jangal ki sard raat koi mas.ala nahin
‘irfan’ apne saath kabhi rah ke dekhna
ḳhud se ta.alluqat koi mas.ala nahin
Leave a Reply