• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek Khwab Aur

Ek Khwab Aur

ali-sardar-jafri

khvab ab husn-e-tasavvur ke ufuq se hain pare

dil ke ik jazba-e-masum ne dekhe the jo khvab

aur taabiron ke tapte hue sahraon men

tishnagi abla-pa shola-ba-kaf mauj-e-sarab

ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jaae

ya palat aae koi saat-e-nayab-e-shabab

phuut nikle kisi afsurda tabassum se kiran

ya damak utthe kisi dast-e-burida men gulab

aah patthar ki lakiren hain ki yadon ke nuqush

kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab

biite lamhat ke soe hue tufanon men

tairte phirte hain phuti hui ankhon ke hubab

tabish-e-rang-e-shafaq atish-e-ru-e-khurshid

mil ke chehre pe sahar aai hai khun-e-ahbab

jaane kis mod pe kis raah men kya biiti hai

kis se mumkin hai tamannaon ke zakhmon ka hisab

astinon ko pukarenge kahan tak aansu

ab to daman ko pakadte hain lahu ke girdab

dekhti phirti hai ek ek munh khamoshi

jaane kya baat hai sharminda hai andaz-e-khitab

dar-ba-dar thokaren khate hue phirte hain saval

aur mujrim ki tarah un se gurezan hai javab

sarkashi phir main tujhe aaj sada deta huun

main tira shair-e-avara o be-bak-o-kharab

phenk phir jazba-e-be-tab ki aalam pe kamand

ek khvab aur bhi ai himmat-e-dushvar-pasand

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Koi Markaz Se Alag Hai Koi Mehwar Se Alag

Raat Mein Chand Se Baaten Karna Haule Haule

sauda-mohammad-rafi

Le dida-E-Tar Jidhar Gae Hum

Ahl-E-Dair-O-Haram Rah Gae

poet

Aana Hai to Aa Jao Yak Aan Mera Sahab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet