hudud-e-jan men had-e-na-rasa se aaya huun
main apne aap men la-intiha se aaya huun
chamak rahi hai jabin par safar ki dhuul abhi
zamin ki dhund men raushan faza se aaya huun
main kis ki aankh men ta.abir ki tarah jagun
sunahra ḳhvab huun aur qartaba se aaya huun
miri hatheli pe raushan najat ka lamha
main aaj vadi-e-hamd-o-sana se aaya huun
mujhe sambhal ke rakh shahr-e-be-lihaz ki main
kisi faqir-manash ki dua se aaya huun
zaval-e-ahd to shayad mujhe na pahchane
main ik havala huun aur karbala se aaya huun
Leave a Reply