• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Makan-E-Dil Se Jo uThta Tha Wo Dhuan Bhi Gaya

Makan-E-Dil Se Jo uThta Tha Wo Dhuan Bhi Gaya

makan-e-dil se jo uThta tha vo dhuan bhi gaya

bujhi jo atish-e-jan ziist ka nishan bhi gaya

bahut panah thi us ghar ki chhat ke saa.e men

vahan se nikle to phir sar se asman bhi gaya

baḌha kuchh aur tajassus jala kuchh aur bhi zehn

haqiqaton ke ta.aqub men main jahan bhi gaya

rahe na saath jo pachhtave bhi to ranj hua

ki hasil-e-safar-e-umr-e-ra.egan bhi gaya

bachche hue the to ek ek lamha ginte the

bikhar ga.e to phir andaza-e-zaman bhi gaya

nishan tak na raha apne gharq hone ka

dikha.i deta tha jo ab vo badban bhi gaya

bhara tha daman-e-ḳhvahish to hashr barpa tha

hua tahi to phir avaza-e-sagan bhi gaya

ab is udaas haveli se apna kya rishta

makin ke saath hamare liye makan bhi gaya

bisat-e-dahr pe shah-mat ho ga.i ham ko

‘riyaz’ vo bhi na haath aaya naqd-e-jan bhi gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi Dard Se Qarib Rahe

hatim-ali-mehr

Kucha Mein Jo Us Shokh-Hasin Ke Na Rahenge

bashir-badr

Hansi Masum Si Bachchon Ki Copy Mein Ibarat Si

Rahbar Rah-Numa Koi Nahin Hota Hai

bichhaD Ke Un Se Mile to Kai Sawal Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet