divar-o-dar men gham ka tamasha to hai abhi
vo khud nahin pa us ka bulava to hai abhi
manus ho chali hai udasi se zindagi
paanv ke ablon ka nazara to hai abhi
sach hai ki zahr-e-ishq talattuf gurez tha
chingariyon ne varna pukara to hai abhi
khvabon ko dar-ba-dar hi rakha tha nasib ne
ashuftagi men jaan ka khasara to hai abhi
maalum hai ki kuchh bhi nahin dasht-e-zist men
ummid-e-khvab hi pe guzara to hai abhi
rukhsat shab-e-firaq bahut sah liya tujhe
hamraz garche khvab sitara to hai abhi
be-tabiyan samet ke puchha kare hai dil
qismat men apni subh ka taara to hai abhi
Leave a Reply