mera vajud qabil-e-sahra to hai nahin
sauda tumhare ishq ka rakha to hai nahin
behtar hai bhuul ja.un main us ki muḳhalifat
us se najat ka koi zariya to hai nahin
is dil men ek halqa-e-ahbab aur hai
ḳhali tumhare naam ka Thappa to hai nahin
agni ke saat phere liye hain tumhare saath
ḳhali ye chand roz ka rishta to hai nahin
duniya tamashbin hai dekhe to dekh le
aḳhir ye ashiqi mira pesha to hai nahin
sar jhuk gaya tumhara magar dil nahin jhuka
sajda tumhara shaiḳh ji sajda to hai nahin
‘anvar’ chala gaya tire dar se ye soch kar
ta-umr ab mujhe vahan rahna to hai nahin
Leave a Reply