sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak
jaan Thahri na dil-e-dost men ghar hone tak
shab-e-furqat ki bhi hone ko sahar to hogi
haan magar ham nahin hone ke sahar hone tak
sahne hain jaur-o-sitam jhelne hain ranj-o-alam
ya.ani karni hai basar umr basar hone tak
tera parda bhi uTha degi miri rusva.i
tera parda hai mire ḳhak-ba-sar hone tak
mutazalzal to hai muddat se nizam-e-alam
naubat aa pahunchi hai ab zer-o-zabar hone tak
fursat-e-matam-e-parvana kahan se aa.e
sham.a ko maut se laḌna hai sahar hone tak
ai ‘vafa’ marka-e-ishq to sar kya hoga
ho chukenge hamin ye ma.arka sar hone tak
Leave a Reply