Hijr Ki Ranai Mujhse Chhin Li

hijr kī ra.anā.ī mujh se chhīn lī

yaad ne tanhā.ī mujh se chhīn lī

aañkh khulte hī tumhārī yaad ne

TūTtī añgḌā.ī mujh se chhīn lī

us ke hoñToñ kī shafaq ne aaj phir

quvvat-e-goyā.ī mujh se chhīn lī

haath meñ us ne thamāyā ik diyā

aur phir bīnā.ī mujh se chhīn lī

dil meñ jiine kī jo ḳhvāhish thī kabhī

tū ne vo harjā.ī mujh se chhīn lī

dast-e-duniyā ne kabhī taqdīr ne

chiiz jo bhī bhaa.ī mujh se chhīn lī

in mashīnoñ ne mashīnī daur ne

ḳhūbī-o-zebā.ī mujh se chhīn lī

Leave a Comment