mausamon ki tarah badla main ki tu
kaun kis ko bhuul baiTha main ki tu
samne dariya magar pabandiyan
ek ik qatre ko tarsa main ki tu
paka.i-e-daman ke afsane na kah
kaun hai har samt rusva main ki tu
justuju kis ko na.i duniya ki thi
dasht men sho.alon ke bhaTka main ki tu
zindagi ke saḳht-o-sangin moḌ par
kaun tha kis ka sahara main ki tu
jis men donon ki bhala.i thi nihan
aise har nukte ko samjha main ki tu
jagti ankhon se ‘bismil’ aj-kal
dekhta hai kaun sapna main ki tu
Leave a Reply