vaade ki jo saaat dam-e-kushtan hai hamara
jo dost hamara hai so dushman hai hamara
ye kah-e-ruba se bhi hain kam ai kashish-e-dil
mazkur kuchh aisa pas-e-chilman hai hamara
afsos mu-e-sham-e-shab-e-vasl ki manind
jo qahqaha shadi hai so shevan hai hamara
mahtab ka kya rang kiya dud-e-fughan ne
ahval shab-e-tar se raushan hai hamara
deta nahin us zof pe bhi josh-e-junun chain
har reg-e-ravan dasht men tausan hai hamara
tafrih na kyunkar ho hava aa nahin sakti
goya dar o divar nasheman hai hamara
gar paas hai logon ka to aa ja ki qalaq se
hai laash kahin aur kahin madfan hai hamara
jazb-e-dil use khinch ke laae to kahan laae
jo ghair ka ghar hai vahi maskan hai hamara
but-khane se kaabe ko chale rashk ke maare
‘momin’ khizr-e-rah barhaman hai hamara
Leave a Reply