har aah ġham-e-dil kī ġhammāz nahīñ hotī
aur vaah masarrat kā āġhāz nahīñ hotī
jo rok nahīñ paatī ashkoñ kī ravānī ko
vo aañkh ġham-e-dil kī hamrāz nahīñ hotī
har ashk-e-shahanshāhī ik taaj nahīñ bantā
har malka zamāne meñ ‘mumtāz’ nahīñ hotī
miltī hai ḳhamoshī se zālim ko sazā yaaro
allāh kī lāThī meñ āvāz nahīñ hotī
ik Thos haqīqat hai alfāz ke paikar meñ
ye shā.irī shā.ir kā e.ajāz nahīñ hotī
yuuñ umr kī qaiñchī ne par mere katar Daale
ab laakh karūñ koshish parvāz nahīñ hotī
daulat kī badaulat jo bandhtī hai ‘asad’ sar par
dastār-e-fazīlat vo e.azāz nahīñ hotī