go mira saath miri apni nazar ne na diya
dasht-e-tanha.i men ai dil tujhe Darne na diya
zindagi kitna tiri baat ka hai paas hamen
tu ne jo zaḳhm diya ham ne vo bharne na diya
ek vo hain ki jinhen apni ḳhushi le Duubi
ek ham hain ki jinhen gham ne ubharne na diya
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the
us pe ta-umr kisi ko bhi guzarne na diya
ham to har haal sanvara kiye halat ‘azad’
ham ko halat ne har-chand sanvarne na diya
Leave a Reply