barq ka Thiik agar nishana ho
band kaahe ko karḳhana ho
dekhne sunne ka maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasana ho
maut har vaqt aana chahti hai
koi hiila koi bahana ho
raah se sang-o-ḳhisht haT jaa.en
nekiyon ka agar zamana ho
mujh ko ḳhvab-o-ḳhayal hai manzil
qafila shauq se ravana ho
kya ta.ajjub ki pichhe pichhe mire
aane vaala mira zamana ho
Leave a Reply