ga.i hai shaam abhi zaḳhm zaḳhm kar ke mujhe
ab aur ḳhvab nahin dekhne sahar ke mujhe
huun mutma.in ki huun asuda-e-gham-e-janan
majal kya ki ḳhushi dekhe aankh bhar ke mujhe
kahan milegi bhala is sitamgari ki misal
taras bhi khata hai mujh par tabah kar ke mujhe
main rah na ja.un kahin tera a.ina ban kar
ye dekhna nahin achchha sanvar sanvar ke mujhe
in ansuon se bhala mera kya bhala hoga
vo mere ba.ad jo roya bhi yaad kar ke mujhe
khula bhi ab dar-e-zindan to ja.unga main kahan
ki raste hi nahin yaad apne ghar ke mujhe
hunar-vari faqat ezaz-baḳhsh kab hai ‘vaqar’
chukane paḌte hain kuchh qarz bhi hunar ke mujhe
Leave a Reply