sharab pi jaan tan men aa.i alam se tha dil kabab kaisa
gale se lag jaao aao sahab kahan ka parda hijab kaisa
ab aao bhi har taraf takalluf naqab kaisi kahan ka parda
jhuka.e kyuun sar ho sharm se tum ayaan hai ruḳh se hijab kaisa
baḌha jo main rakh ke uzr-e-masti kaha ye hans kar chaḌha ke tevri
haTo zara hosh men raho ji sambhalo dil iztirab kaisa
tumhen mubarak ho jo liya hai bhula do jo ham ko de diya hai
jo ho gaya us ka zikr kya hai ye doston men hisab kaisa
bahar ke din hain kya maza hai sharab ka daur chal raha hai
laga hai sabza chaman khula hai baras raha hai sahab kaisa
main rashk-e-majnun huun dekh idhar tu na la saba gulsitan ki ḳhushbu
ghubar ki hai dimagh ko ḳhu kahan ka itr aur gulab kaisa
vo chashm karti hai said aahu hain itne tir-e-mizha tarazu
pukar hogi ye kal ko har su karih hai mushk-e-nab kaisa
kabhi vo masti men rang laa.e kabhi kiya shaad muskura.e
ajab tarah ke maze uTha.e visal ki shab men ḳhvab kaisa
na mel kar saqiya yunhi de pasand mujh ko nahin koi shai
jigar pe charka lage piyape kahan ka paani gulab kaisa
nahin hai dozaḳh ka dil ko kuchh gham miri bhi sun naseha zara tham
rahim vo pur-gunah hain ham azaab kaisa savab kaisa
jo roz hai ruḳh to zulf hai shab zaqan hai manind chah-e-naḳhshab
ye haal hai bachpane men yarab to hoga ahd-e-shabab kaisa
ye daur hai chashm-e-surma-gun ka falak hai ik qatra bahr-e-ḳhun ka
jahan men rang hai fusun ka hai mast har shaiḳh-o-shabab kaisa
‘habib’ hain band kaam tere kahan hain shah-e-anam tere
nahin pahunchte imaam tere hai banda-e-bu-turab kaisa
Leave a Reply