• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Dil Ki Nigahon Se Jahan Dekh Rahe Hain

Hum Dil Ki Nigahon Se Jahan Dekh Rahe Hain

ham dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain

vo baat nazar vaale kahan dekh rahe hain

jin hathon men kal amn ka parcham tha unhi men

hairat hai ki shamshir-o-sinan dekh rahe hain

kya janiye kyuun sog ka manzar hai chaman men

ḳhamosh zaban ashk ravan dekh rahe hain

aḳhir koi afsos kare bhi to kahan tak

har samt tabahi ka saman dekh rahe hain

aa.ega dil-o-jan bhi luTane ka zamana

kuchh aaj bhi ulfat ka nishan dekh rahe hain

mumkin hai ḳhirad-mandon ko divana bana de

jo azm mire dil men javan dekh rahe hain

un se koi ummid-e-vafa rakhe to kaise

har baat men jo sud-o-ziyan dekh rahe hain

ḳhamoshi se hal apne masa.il nahin honge

kuchh kahiye ‘sahar’ ahl-e-zaban dekh rahe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Banda Agar Jahan Mein Bajae KHuda Nahin

poet

Ji Hech Jaan Hech Na dil Ne Jigar Aziz

Nairangi-E-Bahaar-O-KHizan Dekhte Rahe

poet

Ek Paikar Hai Ki Imsal Mein Aata Hi Nahin

Har Ek Lab Par KHamoshi Ki Sada Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet