kis ke dil men basta huun
aksar socha karta huun
sat.h ke niche kuchh bhi nahin
kahne ko main dariya huun
ḳhud ko kabhi main pa na saka
jaane kitna gahra huun
aaj bhi shayad tu aa.e
ḳhvab saja.e baiTha huun
rah kar arse tak be-ab
moti ban kar chamka huun
jaag raha hai divana
aur main soya rahta huun
Leave a Reply