• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-O-Makan Ke Hain

Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-O-Makan Ke Hain

dagh-dehlvi

jalve miri nigah men kaun-o-makan ke hain

mujh se kahan chhupenge vo aise kahan ke hain

khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihan ke hain

kya phutne ke vaste chhale zaban ke hain

karte hain qatl vo talab-e-maghfirat ke baad

jo the dua ke haath vahi imtihan ke hain

jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-khak

us roz se zamin pe sitam asman ke hain

baazu dikhae tum ne laga kar hazar haath

puure pade to vo bhi bahut imtihan ke hain

naseh ke samne kabhi sach bolta nahin

meri zaban men rang tumhari zaban ke hain

kaisa javab hazrat-e-dil dekhiye zara

paigham-bar ke haath men tukde zaban ke hain

kya iztirab-e-shauq ne mujh ko khajil kiya

vo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain

ashiq tire adam ko gae kis qadar tabah

puchha har ek ne ye musafir kahan ke hain

har-chand ‘dagh’ ek hi ayyar hai magar

dushman bhi to chhate hue saare jahan ke hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Nahin Maqam Ki Khugar Tabiat-E-Azad

abdullah-javed

Chandni Ka Raqs dariya Par Nahin dekha Gaya

faiz-ahmad-faiz

Un dinon Rasm-O-Rah-E-Shahr-E-Nigaran Kya Hai

poet

Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-E-Fughan Ho

poet

Na Koi Aks Na Aawaz Na Chehra Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet