harf lafzon ki taraf lafz maani ki taraf
laut aae sabhi kirdar kahani ki taraf
us se kahna ki dhuan dekhne ke laaeq hoga
aag pahne hue jaunga main paani ki taraf
pahle misre men tujhe soch liya ho jis ne
jaana padta hai use misra-e-sani ki taraf
dil vo dariya hai mire sina-e-khali men ki ab
dhyan jaata hi nahin jis ki ravani ki taraf
Leave a Reply