duniya ke har ḳhayal se begana kar diya
husn-e-ḳhayal-e-yar ne divana kar diya
tu ne kamal jalva-e-janana kar diya
bulbul ko phuul sham.a ko parvana kar diya
mashrab nahin ye mera ki pujun buton ko main
shauq-e-talab ne dil ko sanam-ḳhana kar diya
un ki nigah-e-mast ke qurban ja.iye
mere junun ko hasil-e-mai-ḳhana kar diya
Thukra.e ya qubul kare us ki baat hai
ham ne to pesh jaan ka nazrana kar diya
tere ḳhiram-e-naz pe qurban zindagi
naqsh-e-qadam ko raunaq-e-virana kar diya
mai-ḳhana-e-alast ka vo rind huun ‘fana’
jis par nigah Daal di mastana kar diya
Leave a Reply