hamen to ḳhvahish-e-duniya ne rusva kar diya hai
bahut tanha the us ne aur tanha kar diya hai
ab aksar a.ine men apna chehra DhunDte hain
ham aise to nahin the tu ne jaisa kar diya hai
dhaḌakti qurbaton ke ḳhvab se jaage to jaana
zara se vasl ne kitna akela kar diya hai
agarche dil men gunja.ish nahin thi phir bhi ham ne
tire gham ke liye us ko kushada kar diya hai
tire dukh men hamare baal chandi ho ga.e hain
aur is chandi ne qabl az vaqt buḌha kar diya hai
ta.alluq toḌne men pahl mushkil marhala tha
chalo ham ne tumhara bojh halka kar diya hai
gham-e-duniya gham-e-jan se juda hone laga tha
‘hasan’ ham ne magar donon ko yakja kar diya hai
Leave a Reply