ain masti men huun dil duniya se begana hai
kyunki ab pesh-e-nazar jalva-e-janana hai
hashr ke roz mulaqat ka parvana hai
hauz-e-kausar mire mahbub ka mai-ḳhana hai
chaar unsur ke tarashe ko tu ainvin na samajh
zarra zarra miri tauqir men divana hai
avval avval mujhe taḳhliq kiya tha us ne
arsh ke niche ka saara mira kashana hai
bada-e-nur ke do qatre hain ye raat aur din
aankh be-ant ki gahra.i ka paimana hai
jis ko fanus men sho.ale ki samajh aa jaa.e
us ke aage na koi majnun na divana hai
jism ka jism se kuchh din ka ta.alluq hoga
ruuh ka ruuh se aghaz ka yarana hai
vasl hi asl hai ‘tahsin’ pareshan mat ho
hijr-e-adam se hue jurm ka jurmana hai
Leave a Reply