kante hon ya phuul akele chunna hoga
ham jaisa mohtat hamesha tanha hoga
fikr o taraddud men har dam kya ghulte rahna
hoga to bas vo hi jo kuchh hona hoga
us se kya kahna hai pahle ye to tai ho
phir sochenge kya anjam hamara hoga
jin men kho kar ham khud ko bhi bhuul gae hain
kya ham ko bhi un ankhon ne dhunda hoga
pathrili dharti hai ankur kya phutenge
be-shak badal tuut ke in par barsa hoga
teshe aur junun ki baten bas baten hain
kaun bhala marta hai kaun divana hoga
meri tarah tuute aine men us ne bhi
tukde tukde apne aap ko paaya hoga
teri to ‘bilqis’ nirali hi baten hain
is duniya men kaise tira guzara hoga
Leave a Reply