khamosh is tarah se na jal kar dhuan utha
ai shama kuchh to bol kabhi to zaban utha
but ban ke chupke fitne na yuun meri jaan utha
munh men agar zaban hai to lutf-e-zaban utha
hai koson duur manzil-e-anjam-e-guftugu
tezi ke saath apne qadam ai zaban utha
dar hai yahi ki kashti-e-mazmun na duub jaae
rah rah ke itni maujen na bahr-e-zaban utha
ab daur men hai rindon ke paimana-e-kalam
phir aa gai bahar phir abr-e-zaban utha
kar is qadar na zauq-e-takallum ko sharmsar
apna sar-e-niyaz kabhi to zaban utha
kahta hai ‘qadr’ dekh ke tere sukut ko
kuchh faeda kalam se bhi ai zaban utha
Leave a Reply