saaz men soz jab nahin aata
lutf-e-bazm-e-tarab nahin aata
ham ko apni ḳhabar nahin hoti
vo to aane ko kab nahin aata
aql men lafz-e-ishq ka mafhum
kuchh to aata hai sab nahin aata
hosh aane ki baat itni hai
jab vo aata hai tab nahin aata
us ko ulfat ki baat par ghussa
pahle aata tha ab nahin aata
ho na ho bhar raha hai zaḳhm-e-jigar
rang ashkon men ab nahin aata
dil lahu jab talak na ho ‘aḳhgar’
rang-e-husn-e-talab nahin aata
Leave a Reply