adu ghair ne tujh ko dilbar banaya
koi joḌ mujh par muqarrar banaya
koi sarv rakhta na tha raast ye hai
tire qad ko main ne sanobar banaya
kiya main ne jallad use apne haq men
sitam sahte sahte sitamgar banaya
na ginta tha koi hasinon men o but
tujhe de ke dil main ne dilbar banaya
shakar-lab kaha main ne kaḌve hue tum
abas munh ko mujh se sitamgar banaya
anasir se ḳhaliq ne ḳhilqat bana.i
tujhe nuur se hur-paikar banaya
tira ashiq-e-zar roz-e-azal se
banaya mujhe o sitamgar banaya
bhala kya javab is ka dega tu qatil
agar ḳhuun ka main ne mahzar banaya
miri aql hairan hai bar-e-ilaha
tilismat-e-duniya ko kyun-kar banaya
paḌi jaan uḌne laga mere iisa
rui ka jo tu ne kabutar banaya
hama-vaqt mumkin nahin vasl-e-dilbar
hansi-khel kiya jan-e-muztar banaya
vo huun sahib-e-zarf hargiz na chhalka
agar ḳhaak ka meri saghar banaya
ḳhayal-e-dahan ne kiya tang mujh ko
kamar ke tasavvur ne laghar banaya
ghule soz-e-furqat men us sham.a-ru ke
ye haal apna kyuun ‘rind’ jal kar banaya
Leave a Reply