andhiyon ka ḳhvab adhura rah gaya
haath men ik sukha patta rah gaya
shahr to sabit hua shahr-e-ḳhayal
aankh men bas ik dhundlaka rah gaya
aa ga.e barish ke din divar par
ik zara sa rang kachcha rah gaya
khilkhila kar dhuup pichhe haT ga.i
hote hote ik tamasha rah gaya
raste ik dusre men kho ga.e
haath men saḌkon ka naqsha rah gaya
achchhe achchhe sab khilaune bik ga.e
shaam ka sunsan mela rah gaya
mahfilon ki bhi faza ma.alum hai
kya hua jo main akela rah gaya
Leave a Reply