mera nishan bhi DhunDh ghubar-e-mah-o-aḳhtar men
kuchh manzar main ne bhi bana.e bana.e hain manzar men
puchho to zaḳhmon ka havala dena mushkil hai
itni be-tartibi si hai dil ke daftar men
vo maujon ki tesha-zani se gunjti chaTTanen
vo patthar si raat ka Dhalna chand ke paikar men
itna yaad hai jab main chala tha su-e-dasht-e-bala
maujen marta ik dariya bahta tha barabar main
chamak raha hai ḳhema-e-raushan duur sitare sa
dil ki kashti tair rahi hai khule samundar men
‘zeb’ mujhe Dar lagne laga hai apne ḳhvabon se
jagte jagte dard raha karta hai mire sar men
Leave a Reply