hamen ḳhabar bhi nahin yaar khinchta hai koi
hamare beach men divar khinchta hai koi
ye kaisa dasht-e-tahayyur hai yaan se kuuch karo
hamare paanv se raftar khinchta hai koi
hai chaak chaak hamare lahu ka pairahan
hamari ruuh se jhankar khinchta hai koi
main chal raha huun musalsal bina tavaqquf ke
mujhe ba-surat-e-parkar khinchta hai koi
yahan to mal-e-ghanimat samajh rahe hain sabhi
qaba bachao to dastar khinchta hai koi
use sikhao ki tahzib-e-guftugu kya hai
zara si baat pe talvar khinchta hai koi
hai mira naam bhi is mahzar-e-shahadat men
mujhe bhi lashkar-e-inkar khinchta hai koi
munaf-e-jazb-e-darun main huun in dinon ‘shahid’
mujhe ik aks-e-pur-asrar khinchta hai koi
Leave a Reply