na ye shisha na ye saghar na ye paimana bane
jan-e-mai-ḳhana tiri nargis-e-mastana bane
partav-e-ruḳh ke karishme the sar-e-rahguzar
zarre jo ḳhaak se uTThe vo sanam-ḳhana bane
kar-farma hai faqat husn ka nairang-e-kamal
chahe vo sham.a bane chahe vo parvana bane
us ko matlub hain kuchh qalb o jigar ke TukḌe
jaib o daman na koi phaaḌ ke divana bane
rind jo zarf uTha len vahi saghar ban jaa.e
jis jagah baiTh ke pi len vahi mai-ḳhana bane
Leave a Reply