ajnabi shahr men pahunchun to shanasa dekhun
dusra koi nahin bas tira chehra dekhun
har taraf ek sa manzar nazar aata hai mujhe
dasht-o-sahra ki taraf ja.un ki dariya dekhun
apne chehre ki bhi pahchan hai mushkil ab to
aa.ina le ke jo dekhun to bhala kya dekhun
ghar ki raunaq to uTha le gaya jaane vaala
kyon na bikhre hue lamhon ka asasa dekhun
mere andar bhi sulagte hue lamhon ki sada
tere chehre pe bhi bahta hua dariya dekhun
dil ye kahta hai kisi roz tu aa.ega zarur
yahi behtar hai tira baiTh ke rasta dekhun
mujh ko har sher tiri yaad dila.e ‘ḳhalid’
apni ghazlon men tire dard ka qissa dekhun
Leave a Reply