gar jafa ki na ho vafa maane
koi zalim nahin tira maane
chara-gar ke ilahi tuten haath
ho gai dard ki dava maane
samne tere dam na nikla haae
hasraton ki hui qaza maane
kyuun na ulti naqab chehre se
hashr ki kyuun hui haya maane
kyuun na pheri chhuri ruka kyuun haath
tera jallad kaun tha maane
chhod kar parda hat gaya vo shokh
naala didar ka hua maane
‘asman’ us qamar ke aane ka
hua izhar-e-muddaa maane
Leave a Reply