shokh kahta hai be-haya jaana
dekho dushman ne tum ko kya jaana
shola-e-dil ko naz-e-tabish hai
apna jalva zara dikha jaana
shauq ne durbash-e-aada ko
us ki mahfil men marhaba jaana
us ke uthte hi ham jahan se uthe
kya qayamat hai dil ka aa jaana
ghar men khud-raftagi se dhuum machi
kyunke ho us talak mira jaana
puchhna hal-e-yar hai manzur
main ne naseh ka muddaa jaana
mai na utri gale se jo us bin
mujh ko yaron ne parsa jaana
shikva karta hai be-niyazi ka
tu ne ‘momin’ buton ko kya jaana
Leave a Reply