kabhi sar pe chaḌhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariya
kabhi mujhe baha kar le jaa.e kabhi mujh men aan bahe dariya
gaata huun mere sur men sur mil jaa.e us ki lahron ka
meri aankh men aansu dekhe to phir apni aankh bhare dariya
main apni use sunata huun vo apni mujhe sunata hai
main chup to vo bhi chup hai aur main kahun to baat kahe dariya
kahin barf lapeTe baiTha hai kahin ret bichha kar leTa hai
kabhi jangal men Dera Daale kabhi basti aan base dariya
ai dariya! tera paaT baḌa, ai dariya! tera zor baḌa
ai dariya! gum ho kar tujh men qatre ka naam paḌe dariya
ai sha.er! tera dard baḌa ai sha.er! teri soch baḌi
ai sha.er! tere siine men is jaisa laakh bahe dariya
Leave a Reply