• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aariz Ashkon Se Tere Tar Nahin Dekhe Jate

Aariz Ashkon Se Tere Tar Nahin Dekhe Jate

aariz ashkon se tire tar nahin dekhe jaate

ḳhaak men rulte ye gauhar nahin dekhe jaate

dekh sakta huun zamane ki badalti nazren

tere badle hue tevar nahin dekhe jaate

aa.ina bhi ruḳh-e-raushan ke muqabil na rahe

ham se koi tire ham-sar nahin dekhe jaate

dil ke sagar men jo har sham-o-sahar uThte hain

vo talatum kabhi bahar nahin dekhe jaate

muskurate hue chehre pe nazar sab ki paḌi

zaḳhm dil ke magar aksar nahin dekhe jaate

husn ke jalve jo dekhe tire divane ne

hosh valon se vo aksar nahin dekhe jaate

qadr kar qadr mire zauq-e-nazar ki saaqi

sab hasin yuun to mukarrar nahin dekhe jaate

mai-kada apna hai aur bada-o-saqi apne

ghair ke haath men saghar nahin dekhe jaate

ye hasin vadi-o-dariya gul-o-gulzar ‘habib’

bin tire mujh se ye manzar nahin dekhe jaate

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rang Duniya Ne Dikhaya Hai Nirala Dekhun

Bas Ek Tere KHwab Se Inkar Nahin Hai

Apni Palkon Ke Shabistan Mein Rakkha Hai Tumhein

Pani Mein Aag Dhyan Se Tere bhaDak Gai

aziz-bano-darab-wafa

Tatolta Hua Kuchh Jism O Jaan Tak Pahuncha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet