main ne jab had se guzarne ka irada kar liya
manzil-e-dushvar ko tai pa-piyada kar liya
be-haqiqat ho gae meri nazar men mehr-o-mah
main ne jab ghar ke diye se istifada kar liya
ansuon ne gham ko uryan kar diya hota magar
dil ki ghairat ne tabassum ko labada kar liya
amn ki sab shahrahen tang ho kar rah gaiin
hadson ne rasta kitna kushada kar liya
umr bhar ‘azim’ rahega nashsha-e-gham ka ḳhumar
aankh ko paimana-e-ḳhun dil ko baada kar liya
Leave a Reply