• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Go Aaj Andhera Hai Kal Hoga Charaghan Bhi

Go Aaj Andhera Hai Kal Hoga Charaghan Bhi

go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi

taḳhrib men shamil hai ta.amir ka saman bhi

maz.har tire jalvon ke maman miri vahshat ke

kohsar-o-gulistan bhi sahra-o-bayaban bhi

dam toḌti maujen kya sahil ka pata dengi

Thahri hui kashti hai ḳhamosh hai tufan bhi

majbur-e-gham-e-duniya dil se to koi puchhe

ehsas ki rag men hai ḳhar-e-gham-e-janan bhi

bughz-o-hasad-o-nafrat nakami-o-mahrumi

insanon ki basti men kya hai koi insan bhi

divana-e-ulfat ko dar se tire milta hai

har zaḳhm ka marham bhi har dard ka darman bhi

leti hai jab angḌa.i bedar kiran koi

hota hai ‘ziya’ ḳhud hi raqsan bhi ghazal-ḳhvan bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Gham Kamai Se Chal Raha Hai Dil

Thak Chuka Hun Main Gham Likhte Likhte

Tamashai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye

Shab Ki Shab Mahfil Mein Koi KHush-Kalam Aaya to Kya

Suraj Ki Kiran Ka Shoabada Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet