dar ke baitha huun sar-nigun vahshat
mujh ko batla main kya karun vahshat
hijr kaafi hai dil-lagi ke liye
ab main tera bhi kya banun vahshat
chahe jitna sanvar luun khud ko
aine men magar lagun vahshat
ja chali ja kahin main chhup jaun
tab tu aana main jab kahun vahshat
dar khatakne pe main ne jab puchha
koi kahne laga main huun vahshat
aaj titli ke saath baithak hai
aaj thoda mile sukun vahshat
tum sunao na koi sher ‘ahmad’
aaj ji karta hai sunun vahshat
Leave a Reply