• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Manzil Mile Na Koi Bhi Rasta dikhai de

Manzil Mile Na Koi Bhi Rasta dikhai de

syeda-nafis-bano-shama

manzil mile na koi bhi rasta dikhai de

duniya faqat ye khel tamasha dikhai de

rishton ka ik hujum tha main dhundhti rahi

hasrat liye hue koi apna dikhai de

mujh ko mita de is tarah duniya se ai khuda

tarikh men bhi koi na mujh sa dikhai de

us ne jalaya mere nasheman ko phir kaha

hadd-e-nigah tak tujhe sahra dikhai de

ye zindagi ki bazigari tu bhi siikh le

kar kar ke qatl tu bhi masiha dikhai de

rishton ka khol odh ke milte hain log aaj

har aadmi mujhe yahan tanha dikhai de

karta rahe junun ye taaqub sarab ka

pyase ko khvab men abhi dariya dikhai de

ai ‘shama’ kis ne di thi tujhe aisi bad-dua

ghar men koi charagh na jalta dikhai de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Manzilon Ka Nishan Kab Dega

zehra-nigaah

Tan-E-Nahif Se Amboh-E-Jabr Haar Gaya

Manzar Meri Aankhon Mein Rahe Dasht-E-Safar Ke

Sukun Ye Apne Saweron Ka Chain Rainon Ka

Waise to the Yar Bahut Par Kisi Ne Mujhe Pahchana Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet