tum kisi taur kisi shakl nahin kar sakte
is zamin se mujhe be-daḳhl nahin kar sakte
Thiik hai aap miri jaan to le sakte hain
meri avaz magar qatl nahin kar sakte
tujh ko nuqsan to pahunchana bahut duur ki baat
teri tasvir ko bad-shakl nahin kar sakte
sher kahne ka saliqa hai bahut ba.ad ki baat
Thiik se ham to abhi naql nahin kar sakte
aise halat men ham dil ko talab karte hain
faisla rakh ke jahan aql nahin kar sakte
Leave a Reply