jaate jaate gale lagata kya
vo mira aur dil dukhata kya
phir vahi ḳhush-guman tabi.at uf
tajraba kuchh nahin sikhata kyaa?
jaane vaale to ja chuke kab ke
ab yahan ḳhaak hai uḌata kya
sham-e-hasti ka phaḌphaḌata charagh
lau bhala aur se lagata kya
main huun majbur aa.ina to nahin
dard ko ḳhushnuma dikhata kya
kuchh naya tha hi kab kahani men
qissa-go lakḌiyan jalata kya
jal-pari tairne nahin aa.i
jhiil ki samt chand jaata kya
hai bura ek din to achchha ek
kya koi rota muskurata kya
Leave a Reply