yaad kahan rakhni hai tera ḳhvab kahan rakhna hai
dil men yaad phir ankhon men mahtab kahan rakhna hai
vo kahta hai aḳhiri bab-e-ishq mukammal kar len
aur main soch raha huun pahla baab kahan rakhna hai
husn ki yakta.i ka bas itna ehsas hai mujh ko
kanTon ki tartib men ek gulab kahan rakhna hai
Leave a Reply