• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi

Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi

shaam kajla.i hui raat abhagan jaisi

rut nahin aati kisi gaanv men savan jaisi

rang Tesu men khile hain tiri chunari ki tarah

ban men phulon ki mahak hai tire angan jaisi

us ki avaz men hai saat suron ka sangit

baat bhi vo kare to bajti hai jhanjhan jaisi

raat ki vaishya laakh ankhon men kajal paare

sub.h maang apni saja.egi suhagan jaisi

ek pal bichhḌen to lagta hai yugon ka ban-bas

aur jab tak na milen rahti hai uljhan jaisi

tu alag ruThi hui hai vo alag ruTha hua

gori kis baat pe sajan se hai an-ban jaisi

aanch si lagti hai pahlu men tiri sanson ki

ghaav par ThanDi hava hai tire daman jaisi

miri ankhon men dil-avez saman hai ‘ishrat’

phulon par os ki har buund hai darpan jaisi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bandon Ka Mizaj Humne Dekha

poet

Pur-Soz Jigar Ke Nale Bhi Dil-Soz Nikalte Rahte Hain

Raha Shamil Jo Mere Ratjagon Mein Kaun Tha Wo

ismail-merathi

Hawa Aur Suraj Ka Muqabla

Kaun Kahta Hai Thahar Jaana Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet