aa.ine ke ru-ba-ru ik aa.ina rakhta huun main
rat-din hairat men ḳhud ko mubtala rakhta huun main
doston vaali bhi ik ḳhubi hai un men is liye
dushmanon se bhi musalsal rabta rakhta huun main
roz-o-shab main ghumta huun vaqt ki pur-kar par
apne charon samt koi da.era rakhta huun main
khaTkhaTane ki bhi zahmat koi aḳhir kyuun kare
is liye bhi ghar ka darvaza khula rakhta huun main
aj-kal ḳhud se bhi hai ranjish ka koi silsila
aj-kal ḳhud se bhi thoḌa fasla rakhta huun main
chand yaden ek chehra ek ḳhvahish ek ḳhvab
apne dil men aur kya un ke siva rakhta huun main
chand tasviren kitaben ḳhushbuen aur ek phuul
apni almari men ‘tabish’ aur kya rakhta huun main
Leave a Reply